na falak hoga na ye kucha-e-qatil hoga mere kahne mein kisi din jo mera dil hoga jab numayan wo sawar-e-rah-e-manzil hoga na to main aap mein hunga na mera dil hoga aadhi raat aa gai bas bas dil-e-betab sambhal hum samajhte hain jo is karb ka hasil hoga rukhsat ai wahshat-e-tanhai-o-ghurbat rukhsat khauf hi kya hai jo hamrah mere dil hoga raat ka khwab nahin jis ki har ek de tabir ye wo arman hai pura jo ba-mushkil hoga tera kya zikr hai zindan ki hilegi diwar nala-kash jab koi paband-e-salasil hoga tal din main ne ye kah kah ke ziden bachpan ki aaina bhi koi shai hai jo muqabil hoga dubne jaega shayad koi mayus visal majma-e-am suna hai lab-e-sahil hoga chaudhwan sal use deta hai muzhda 'alim' le mubarak ho ki ab tu mah-e-kaamil hoga