na faslon mein khalish na rahat hai qurbaton mein main ji raha hun ajib be-rang saaton mein tujhe gharaz kya koi bhi mauzu-e-guftugu ho har ek haqiqat badal chuki jab hikayaton mein meri wafa ke safar ki takmil ho to kaise hai tera mehwar teri adhuri mohabbaton mein koi to mere wajud ki sarhaden batae bhatak raha hun main kab se apni hi wusaton mein wo ek saya tha umr bhar ki thakan ka hamil wo ek saya jo kho gaya hai masafaton mein main zakhm kha ke bhi bad-guman ho saka na 'rashid' ajib rang-e-khulus tha us ki nafraton mein