na gaya khayal-e-zulf-e-siyah jafa-shaaran na hua ki subh howe shab-e-tira rozgaran na kaha tha ai rafugar tere tanke honge dhile na siya gaya ye aakhir dil-e-chaak-e-be-qararan hui id sab ne pahne tarab-o-khushi ke jame na hua ki hum bhi badlen ye libas-e-sogowaran khatar azim mein hain meri aah-o-ashk se sab ki jahan rah chuka phir jo yahi hai baad-o-baran kahin khak-e-ku ko us ki tu saba na dijo jumbish ki bhare hain is zamin mein jigar jigar-figaran rakhe taj-e-zar ko sar par chaman zamana mein gil na shagufta ho tu itna ki khizan hai ye bahaaran nahin tujh ko chashm-e-ibrat ye numud mein hai warna ki gae hain khak mein mil kai tujh se taj-daran tu jahan se dil utha yan nahin rasm-e-dardmandi kisi ne bhi yun na puchha hue khak yan hazaran ye ajal se ji chhupana mera aashkar haiga ki kharab hoga mujh bin gham-e-ishq gul-azaran ye suna tha 'mir' hum ne ki fasana khwab la hai teri sar-guzasht sun kar gae aur khwab yaran