us ke kuche ki taraf tha shab jo danga aag ka aah se kis ki pada tha wan patinga aag ka jang hai kis aatishin-khu se jo rahta hai mudam tegh-e-uryan ki tarah har shoala nanga aag ka toshe-danon mein bhare rahte hain un ke kartoos is liye khatra rakhe hai har tilanga aag ka tah se us ki surkh ho kar kab na nikli mauj-e-barq kab shafaq ne khun mein pairahan na ranga aag ka shama ke shoale pe mauquf us ka jal jaana nahin 'mushafi' jis ja ho aashiq hai patinga aag ka