na ghar sukun-kada hai na karkhana-e-ishq magar ye hum hain ki likhte rahe hain nama-e-ishq bahut se nam the ab koi yaad aata nahin hamare dil mein raha dafn ek khazana-e-ishq sab apne apne tariqe se bhik mangte hain koi ba-nam-e-mohabbat koi ba-jama-e-ishq tumhi pe kya ki hum ab khud pe bhi nahin khulte to kya ye kam hai ki hum par khula fasana-e-ishq kai zamane gae aur badal gaya sab kuchh magar kabhi nahin badla tera zamana-e-ishq sulagte rahne ki lazzat use kahan malum ki jab talak koi banta nahin nishana-e-ishq use phir apni khabar bhi nahin rahi 'abid' laga hai jis ko bhi ek bar taziyana-e-ishq