phata hua jo gareban dikhai deta hai kisi ka dard numayan dikhai deta hai nikalna chahta hun jism ke hisar se main ki apna tan mujhe zindan dikhai deta hai sara-e-dahr mein thahra hua musafir hun ajib be-sar-o-saman dikhai deta hai tere labon ke tabassum ko kis se dun tashbih ki ghuncha bhi to pareshan dikhai deta hai har ek shakhs kisi khauf ki giraft mein hai tamam shahr hirasan dikhai deta hai jo ho sake to kabhi us ki ruh mein jhanko qaba pahan ke jo uryan dikhai deta hai maash aisi ki sunsan hain gali bazar bhatakta aisa ki insan dikhai deta hai