na gire kahin na hare hue kai sal se

na gire kahin na hare hue kai sal se
yunhi khushk pat jude rahe teri dal se

koi lams tha jo sarapa aankh bana raha
koi phul jhankta rah gaya kisi shaal se

teri kaenat se kuchh ziyaada talab nahin
faqat ek moti hi motiyon bhare thaal se

tu wo sahira ki tilism tera uruj par
main wo aag hun jo bujhegi tere zawal se

tere mausamon ke taghayyuraat ajib hain
main qaba banane laga hun ped ki chhaal se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close