na ku-e-yar mein thahra na anjuman mein raha ada-e-naz se ye dil sara-e-fan mein raha hazaron tufan uthae hain waqt aane par lahu bhi khas ada se mere badan mein raha main ek rang tha rang-e-khayal-e-awara kisi dhanak mein kisi rut ke pairahan mein raha ana hi thi ki na jhukne diya kabhi mujh ko pahad sar pe utha kar bhi bankpan mein raha wo main hi tha ki koi aur tha nahin malum tamam umr jo mere hi jaan o tan mein raha safir-e-jaan ke liye manzilen nahin hotin koi padaw bhi aaya to wo thakan mein raha uthi jo saif-e-sitam be-niyaz-e-maut-o-hayat qalam-ba-dast khada wadi-e-sukhan mein raha