na gul khile na shagufon pe tazgi aai khizan ke baad chaman mein bahaar bhi aai hujum-e-gham mein kahan fursat-e-tabassum bhi zara bhi yaad nahin kab mujhe hansi aai koi bhi jada-e-nau khud-bakhud nahin banta ye baat samjhoge jis roz kaj-rawi aai main ek shajar hun uthate hain faeda sab log na dushmani mera shewa na be-rukhi aai hamare sath hamesha ye hadisa guzra badal ke bhes raqabat ka dosti aai zamin to khud hi chamakta hua sitara hai na jaane kaise yahan tirgi chali aai gham-e-hayat salamat tujhe khuda rakkhe tere sabab gham-e-jaanan mein pukhtagi aai hazar bar suni hausla-shikan baaten meri jabin pe na koi shikan kabhi aai kali ko kaun tabassum se rok sakta hai sawal ye hai ki phulon ko kyun hansi aai andheri raat ka manzar hamesha rahta hai kiran ujale ki ghar mein kabhi kabhi aai khuda ke nam pe mardum-kushi rahi jari lahuluhan hi aai hai jo sadi aai