lakh aawara sahi shahron ke futpathon pe hum lash ye kis ki liye phirte hain in hathon pe hum ab unhin baaton ko sunte hain to aati hai hansi be-tarah iman le aae the jin baaton pe hum koi bhi mausam ho dil ki aag kam hoti nahin muft ka ilzam rakh dete barsaton pe hum zulf se chhanti hui us ke badan ki tabishen hans diya karte the aksar chandni raaton pe hum ab unhen pahchante bhi sharm aati hai hamein fakhr karte the kabhi jin ki mulaqaton pe hum