na gul na sarw miyan-e-bahaar hota hai hamari khak se paida chinar hota hai kabhi jo jalwa-e-rukhsar-e-yar hota hai charagh-e-tur charagh-e-mazar hota hai utha janaza jo mera qaza lagi kahne ki jo piyaada hai aakhir sawar hota hai mila ke khak mein tan ko gai bahisht mein ruh kisi ka kaun zamane mein yar hota hai baja hai takht-e-sulaiman pe bhi jo mari lat har ek murgh yahan tajdar hota hai na apne ghar mein mujhe ghair se mila ai hur bahisht mein ye azab-e-fishaar hota hai uruj 'arsh' jo manzur hai jala dil ko ki aag lagti hai jab sard anar hota hai