nil bahta tha parindon ki qataren thin wahan khwab sa manzar tha koi aabshaaren thin wahan ek ajab si naghmagi rahti thi qalb-o-ruh mein sans ki mizrab aur dhadkan ki taren thin wahan khar-o-khas bikhre pade hain aarzu ke shahr mein koi din ka zikr hai raqsan bahaaren thin wahan ab to in aankhon mein khaare paniyon ka zor hai aur tum kahte ho pahle aabkaren thin wahan ek ek kar ke sabhi wadon ke bandhan kat gae lafz kya the khanjaron ki tez dhaaren thin wahan us jagah to aur bhi viran laga dil ka nagar din dhale ghar lautti kunjon ki daren thin wahan