na gul se kaam hai hum ko na kuchh gulzar se matlab ba-jaan rakhte hain ek hamdam badal ek yar se matlab na kaam aalam se hai hum ko na hur-ul-ain-e-jannat se hai ek madhosh dana-tar ba-dil-hoshiyar se matlab na millat hai na mazhab hai na hai matlab koi apna visal-e-yar mazhab hai aur hai didar se matlab tasawwur hai na kaam apna siwa murshid ki nisbat ke tujhe hai in dinon ai dil shah-e-karrar se matlab kaha makru-o-makrullah khair-ul-makrin jis ne chhupa khud mujh ko zahir kar hai us makkar se matlab main wo wasil hun dilbar se ki dil apna hai wo dilbar raha dil hi se kaam apna usi gham-khwar se matlab na hum ye hain na hum wo hain na hum hargiz hain goshe mein ghulam-e-qul-ho-allah hain isi izhaar se matlab na kafir hain na momin hain na masjid hai na mai-khana na tasbih-o-musalla hai na hai zunnar se matlab na hum aadam na hawwa hain na hum hur-o-malak yaro na hum ganjina pinhan hain na hai izhaar se matlab zawal-e-jaan-o-tan hai yan na hirs-o-ma-o-man baqi habab-e-ab-e-dariya hain na hai iftar se matlab nasab ho ya hasab donon mubarak howen zahid ko tujhe to hai faqat 'mardan' shah-e-abrar se matlab