umr bhar ek si uljhan to nahin ban sakte dost ban jaen ki dushman to nahin ban sakte hum ko malum hai tum kya nahin ban pate ho dhup ban jate ho sawan to nahin ban sakte main ne dekha hai wo insan tumhaare andar ram ban jaoge rawan to nahin ban sakte naqd sanson ke liye dil se mohabbat karna hum kabhi qarz ki dhadkan to nahin ban sakte har shikan aaj hai bistar ki tumhaari khatir tum mere chain ke dushman to nahin ban sakte roz ek jaisi adakari na hogi hum se tum bhi ek raat ki dulhan to nahin ban sakte ek jaisi to nahin hoti hai sari duniya sab tere rup ka darpan to nahin ban sakte main hi ban jaunga kuchh der ko un ke jaisa mere bachche mera bachpan to nahin ban sakte haq talab karte hain bakhshish to nahin mangte hain hum teri bhik ka bartan to nahin ban sakte