na hai usko mujhse ghaflat na wo zimmedar kam hai

na hai us ko mujh se ghaflat na wo zimmedar kam hai
pa alag hai us ki fitrat wo wafa-shiar kam hai

meri hasraten mitengi mere khwab honge pure
mujhe apne is yaqin par zara e'tibar kam hai

na badhae aur duri koi aane wala mausam
chalo fasle mita len ki abhi darar kam hai

ye tum hi pe munhasir hai ki tum aao ya na aao
main bhala ye kaise kah dun mujhe intizar kam hai

yahi chahte the hum bhi ki na raaz-e-dil ayan ho
magar apne aansuon par hamein ikhtiyar kam hai

wo utha tha ek tufan jo macha gaya tabahi
abhi aandhiyan thami hain to abhi ghubar kam hai

kahin kho gae tasawwur jo bikhar gaya takhayyul
to 'shifa' ye kaise kah de ki wo be-qarar kam hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close