is ke ghar se mere ghar tak ek kahani bich mein hai meri us ki rahguzar tak ek kahani bich mein hai chappa chappa us ki gali ka raha hai mere zer-e-qadam josh-e-junun se azm-e-safar tak ek kahani bich mein hai zulf-o-lab-o-rukhsar kisi ka hai mera mauzu-e-sukhan tariki se nur-e-nazar tak ek kahani bich mein hai khun-e-jigar shamil hai mera is gulzar ki raunaq mein sehn-e-chaman se barg o shajar tak ek kahani bich mein hai kaun-o-makan ki har shai mein hain fitrat ke asrar-o-rumuz bahr-o-bar se shams-o-qamar tak ek kahani bich mein hai mal bhi aksar ho jata hai jaan ka logon ki janjal batn-e-sadaf se lal-o-gohar tak ek kahani bich mein hai zid na karo tum sun na sakoge 'barqi' ka ye soz-e-darun tir-e-nazar se zakhm-e-jigar tak ek kahani bich mein hai