na hamari hai ye urdu na tumhaari urdu balki har qaum ki hai raj-dulari urdu sar kiye is ne akele hi hazaron maidan kisi maidan mein ab tak nahin haari urdu ab bhi stage pe bhashan jo diya jata hai bolte is mein bhi hain ram bihaari urdu is ko har mulk ka insan samajh leta hai is se har shakhs ko hai aaj bhi pyari urdu jo mukhalif hain ba-zahir unhen malum nahin raat din bolti hai un ki kahaari urdu pak har aib se hai aur bhi daman is ka ganga jamuna ke hai pani se nikhaari urdu kahin 'ghaalib' ki hain nazmen kahin chakbast ki hain shekh-o-pandit ne hai mil-jul ke sanwari urdu aaj sannate mein kahti hai ye bhaarat mata tum ko malum nahin hum ko hai pyari urdu doston ke liye paigham-e-masarrat hai magar dushmanon ke liye be-shak hai katari urdu coat patlun pahan kar bhi na chhodi hum ne hum ne khaddar ki bana dali hai sari urdu naujawanan-e-watan se hai ye 'nawak' ka payam marte marte bhi zaban par rahe jari urdu