na ho aarzu kuchh yahi aarzu hai faqat main hi main hun to phir tu hi tu hai na ye hai na wo hai na main hun na tu hai hazaron tasawwur aur ek aarzu hai na ummid jhuti na kuchh yas sachchi nahin jo kahin bhi wahi chaar-su hai kise dhundhte hain yahi dhundhte hain yahi justuju hai agar justuju hai jagaega kis tarah shor-e-qayamat khamoshi se na-chaar har guftugu hai khudi bhi hamari khudai sahi wahi ham-nashin hai wahi du-ba-du hai magar dashna tha saya-e-zulf-e-saqi ki jo zakhm hai saghar-e-mushk-bu hai