na ho nahin hai agar us ka shin qaf durust

na ho nahin hai agar us ka shin qaf durust
wo haq pe hai to nahin is se ikhtilaf durust

ta'alluqat ki tajdid ke liye yaro
hai apni apni kami ka ye e'tiraf durust

azab jhank raha hai zara to fikr karo
nahin hai ghar ke kiwadon mein ye shigaf durust

ye raushni to mataa-e-nazar ki dushman hai
meri nazar mein hai ab is se inhiraf durust

zara tum apni hadon ka bhi jaeza le lo
ye manta hun ki hai mujh se ikhtilaf durust

ye justuju to kisi sae ka taaqub hai
hua hai mujh pe achanak ye inkishaf durust

milega kya tujhe 'anwar-shamim’ baz aa ja
nahin hai is dar-e-daulat ka ye tawaf durust


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close