ye na samjho rah ki dushwariyan chup ho gain gir pade hain is liye baisakhiyan chup ho gain der tak sunte rahe chup-chap hum khamoshiyan aur jab bole to phir khamoshiyan chup ho gain yaad karne wale hum ko yaad ban kar rah gae ek muddat se hamari hichkiyan chup ho gain likhte likhte ruk gae the wo sisak kar jis jagah padhte padhte us jagah wo chitthiyan chup ho gain waqt ne mujh ko dikhae aise manzar barha rafta rafta sab meri hairaniyan chup ho gain ek pal ko yun laga tha mar gae hain 'arsh' hum jab rihai par hamari bediyan chup ho gain