na ho shabab to kaifiyyat-e-sharab kahan na ho shabab to kaifiyyat-e-shabab kahan chala hun kabe ko lekin chala nahin jata na ho jo shauq hi dil mein to iztirab kahan adu ki bazm mein dushman hazar baithe hain mila bhi hae wo kafir to be-hijab kahan kisi tarah shab-e-gham ki sahar nahin hoti khuda hi jaane ki duba hai aaftab kahan haram mein baithe ho 'mail' khuda khuda kije yahan wo saqi-e-mehwash kahan sharab kahan