na hua hashr ko haal-e-sitam izhaar apna na banaya hamein zalim ne gunahgar apna hath mahrumi-e-taqdir ke hai kar apna kya dikhaen tujhe munh hasrat-e-didar apna halqa-e-kakul-e-mushkin ke jo mazmun bandhe ban gaya nuqta har ek nafa-e-tatar apna sahl samjhe the dam-e-qatl giran-jaani ko ho gaya kaam teri tegh ko dushwar apna dekhte hi use kuchh kah na sake hashr mein hum ho gaya band wahan bhi lab-e-izhaar apna intiqam-e-sitam-e-ghair se mayus rahe na hua hashr mein bhi koi talabgar apna afi-e-zulf ke daste hi hua kaam tamam bah gaya aab ke manind tan-e-zar apna raat us mah ko hum jhankte hi mahw hue ban gaya rauzan-e-dar dida-e-bedar apna kakul-o-zulf ki suljhai hi main pech pada warna hota na kabhi dil ye giraftar apna ru-siyah hi sifat-e-naqsh-e-nagin rakhta hai khub raushan hai 'haya' bakht-e-siyahkar apna