KHala ki had ko tum to par karte karte thak gae

khala ki had ko tum to par karte karte thak gae
rasul-e-pak ek pal mein la-makan talak gae

tajalliyon mein aap ki kuchh aisi aab-o-tab thi
nigar-khane mein lage sab aaine darak gae

pahad jaisi zindagi kate to kis tarah kate
nibahne ki baat thi wo do hi din mein thak gae

amir apne tamiyon ko de rahe hain dudh ghi
gharib khushk rotiyon ke waste bhatak gae

pata nahin ki kya hua tha apni is zaban ko
ki un se guftugu mein hum kai dafa atak gae

unhin ko mil rahe hain aaj tamgha-e-bahaduri
ba-waqt-e-jang jo hamari ot mein dubak gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close