na hua nasib qarar-e-jaan hawas-e-qarar bhi ab nahin tera intizar bahut kiya tera intizar bhi ab nahin tujhe kya khabar mah-o-sal ne hamein kaise zakhm diye yahan teri yaadgar thi ek khalish teri yaadgar bhi ab nahin na gile rahe na guman rahe na guzarishen hain na guftugu wo nishat-e-wada-e-wasl kya hamein eatibar bhi ab nahin rahe nam-e-rishta-e-raftgan na shikayaten hain na shokhiyan koi uzr-khwah to ab kahan koi uzr-dar bhi ab nahin kise nazr den dil-o-jaan baham ki nahin wo kakul-e-kham-ba-kham kise har-nafas ka hisab den ki shamim-e-yar bhi ab nahin wo hujum-e-dil-zadgan ki tha tujhe muzhda ho ki bikhar gaya tere aastane ki khair ho sar-e-rah-e-ghubar bhi ab nahin wo jo apni jaan se guzar gae unhen kya khabar hai ki shahr mein kisi jaan-nisar ka zikr kya koi sogwar bhi ab nahin nahin ab to ahl-e-junun mein bhi wo jo shauq-e-shahr mein aam tha wo jo rang tha kabhi ku-ba-ku sar-e-ku-e-yar bhi ab nahin