ruthe hue ki apne zara ab manae zulf pyara hai dil to naz bhi dil ke uthae zulf dar-guzre dil ki yaad se hum jaan to bachi pichhe padi hai jaan ke ab kyun bulae zulf wo kyun batae hum ko dil-e-gum-shuda ka haal puchhen janab-e-khizr to rasta batae zulf bikhrae baal dekh liya kis ko baam par har waqt hae zulf hai har lahza hae zulf kis tarah un hasinon ke bharti rahi hai kan pahunche na tere kan mein ai dil sada-e-zulf bal kha ke dosh-e-naz se girna idhar udhar wo zulf aur hae wo kafir ada-e-zulf le kar balaen khud wo kashakash mein pad gaya dil zulf ko satae na dil ko satae zulf phande mein us ke tair-e-dil aa rahega aap murgh-e-nazar ko dam mein pahle phansae zulf paingae aur ye jaubanon ka rahnuma-e-dil sad sala zahidon ko to barson jhulae zulf aashuftagan-e-zulf ka barham hai kyun mizaj kahta hai kaun koi na ho mubtala-e-zulf sae se us ke bhagte hain log dur dur bigdi hui hai aaj-kal aisi hawa-e-zulf tum nam un ki zulf ko rakhte ho kyun 'riyaz' sun le tu ek ek ki sau sau sunae zulf