na itna chahiye ai pur-shikam khwab ki tere haq mein hai zalim sitam khwab khayal-e-mah-ru mein ta-dam-e-subh na aaya raat mujh ko ek dam khwab kaho to kis tarah aawe wahan nind jahan khurshid-ru ho aa ke ham-khwab palak lagte nahin kya ud gaya hai nasibon ka tere ai chashm-e-nam khwab hamein behtar hai sona jagne se bhulata hai hamara dard-o-gham khwab kahe tha raat ko 'hatim' se 'mazmun' mujhe makhmal upar aata hai kam khwab