shayad mere badan ki ruswai chahta hai darwaza mere ghar ka binai chahta hai auqat-e-zabt us ko ai chashm-e-tar bata de ye dil samundaron ki gahrai chahta hai shahron mein wo ghutan hai is daur mein ki insan gumnam jangalon ki purwai chahta hai kuchh zalzale samo kar zanjir ki khanak mein ek raqs-e-walehana saudai chahta hai kuchh is liye bhi apne charche hain shahr bhar mein ek parsa hamari ruswai chahta hai har shakhs ki jabin par karte hain raqs tare har shakhs zindagi ki ranai chahta hai ab chhod sath mera ai yaad-e-nau-jawani is umr ka musafir tanhai chahta hai main jab 'qatil' apna sab kuchh luta chuka hun ab mera pyar mujh se danai chahta hai