na jaane kab ke thame ashk the chhalak aae bahut se dost mujhe yaad yak-ba-yak aae teri hi shab ke sitare nahin bane aansu na jaane kitne hi palkon pe ye chamak aae jawab de gain jab bhi ghuti ghuti yaaden tere khutut ke jhonke khunak khunak aae mera safar tha kahin aur be-khudi ki qasam qadam the teri taraf kya karen bhatak aae mudakhalat ki faza tante chalo 'rizwan' hawa ki chaal mein mumkin hai kuchh lachak aae