na jaane kab se main gard-e-safar ki qaid mein tha

na jaane kab se main gard-e-safar ki qaid mein tha
ki sang-e-mil tha aur rah-guzar ki qaid mein tha

dikhai deta tha mukhtar dast-o-bazu se
magar wo shakhs kisi be-hunar ki qaid mein tha

main khwab khwab tha har jashn-e-arzu ka asir
khuli jo aankh to apne hi ghar ki qaid mein tha

khuli fazaen milin jab to ai hawa-e-chaman
main be-bazaati-e-baal-o-par ki qaid mein tha

main khush hun yun ki abhi tak teri nazar mein nahin
wo ashk-e-khun jo meri chashm-e-tar ki qaid mein tha

na kar saka kisi manzil ka ehtiram ki main
junun-e-shauq ka mara safar ki qaid mein tha

main ud raha tha fazaon ki wusaton mein magar
mera wajud abhi baam-o-dar ki qaid mein tha

kiya tha raat tasawwur mein jis ne qasd-e-farar
wo subh pa-ba-girafta sahar ki qaid mein tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close