jis ko ki dastaras hui daman-e-yar tak

jis ko ki dastaras hui daman-e-yar tak
gulshan mein dahr ke wahi pahuncha bahaar tak

jun khar us se to nahin hote juda raqib
mujh ko rasai kyon ki ho us gul-ezar tak

abru kahan ne waza nikali hai ye nai
rahta hai tir-e-ghamza mere dil mein mar tak

pyare kahin nazar na lage aaine ki aaj
be-tarah tujh ko rahta hai wo ai nigar tak

ghaflat mein teri kaam hamara tamam hai
koi kah de itna yar-e-taghaful-shiar tak

hum sirf dekhne ko hain mahrum aur hai
ghairon ko dastaras tere bos-o-kanar tak

saqi shitab jam-e-subuhi pila mujhe
kya jaaniye bachun na bachun main khumar tak

dushman hai meri jaan ka aalam tere liye
yaro koi sunao ye us dost-dar tak

tujh bazm mein jo bar 'jahandar' ko nahin
rahta hai rahguzar mein tujhe bar bar tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close