na jaane kaisi mahrumi pas-e-raftar chalti hai hamesha mere aage aage ek diwar chalti hai wo ek hairat ki main jis ka taaqub roz karta hun wo ek wahshat mere hamrah jo har bar chalti hai nikal kar mujh se bahar laut aati hai meri jaanib meri diwangi ab surat-e-parkar chalti hai ajab andaz-e-ham-safari hai ye bhi qafile walo hamare darmiyan ek aahani diwar chalti hai ghazal kahna bhi ab ek kar-e-be-masraf sa lagta hai naya kuchh bhi nahin hota bas ek takrar chalti hai 'nabil' is ishq mein tum jit bhi jao to kya hoga ye aisi jit hai pahlu mein jis ke haar chalti hai