parinde jhil par ek rabt-e-ruhani mein aae hain kisi bichhde hue mausam ki hairani mein aae hain musalsal dhund halki raushni bhige hue manzar ye kin barsi hui aaankhon ki nigrani mein aae hain kai sahil yahan dube hain aur girdab tute hain kai tufan is thahre hue pani mein aae hain main jin lamhon ke sae mein tumhaare pas pahuncha hun wo lamhe sajda ban kar meri peshani mein aae hain nazar bhar kar use dekho to yun mahsus hota hai hazaron rang ek chehre ki tabani mein aae hain