na jaane kal hon kahan sath ab hawa ke hain ki hum parinde maqamat-e-gum-shuda ke hain sitam ye dekh ki khud mo'tabar nahin wo nigah ki jis nigah mein hum mustahiq saza ke hain qadam qadam pe kahe hai ye ji ki laut chalo tamam marhale dushwar-e-intiha ke hain fasil-e-shab se ajab jhankte hue chehre kiran kiran ke hain pyase hawa hawa ke hain kahin se aai hai 'bani' koi khabar shayad ye tairte hue sae kisi sada ke hain