wo ghir ke aaya ghataon ki tirgi ki tarah baras pada mere aangan mein chandni ki tarah wo jis ke waste ek harf-e-muddaa na mila utar gaya mere sine mein aagahi ki tarah nazar bacha ke jise dekhte the mere harif sama gaya meri aankhon mein raushni ki tarah hawa pe jis ke qadam hain misal-e-nighat-e-gul asir hai mere sheron mein naghmagi ki tarah mera ghazal ki wahshat thi jis ko sae se lipat gaya mere sine se aadmi ki tarah meri nigah ko tu apne aaine mein bhi dekh jami hai tere labon par shaguftagi ki tarah kahan ke sher kahan ki ghazal ye zehn ki rau bikhar gai mere kaghaz pe shairi ki tarah zaban khuli hai to dil phat pada hai surat-e-gul wagarna hum bhi the gham aap mein kali ki tarah lahad mein zehn ki madfun paikar-e-auham meri ragon mein machalte hain zindagi ki tarah ye dhup-chhanw hai duniya ki khud mera saya mere qarib se guzra hai ajnabi ki tarah gham-e-zamana se dil-tang the bahut 'baqar' simat ke rah gae ehsas-e-bekasi ki tarah