na jaane kaun hai dekha hua sa lagta hai ek ajnabi hai magar aashna sa lagta hai tazad-e-surat-o-sirat pe ab yaqin aaya wo bewafa hai magar ba-wafa sa lagta hai garan na guzra tha aisa ye intizar kabhi ab ek lamha bhi sabr-azma sa lagta hai unhen umid ho tamil ki to kyun kar ho ki un ka hukm hi kuchh iltija sa lagta hai ye phul sada-o-be-rang hi sahi lekin tumhaare jode mein kya khushnuma sa lagta hai wo bhai bhai hain rahte hain ek hi ghar mein magar diyon mein bada fasla sa lagta hai wo tum wo main wo lab-e-ju wo raat aur wo chand ye ek khwab hi kitna bhala sa lagta hai na mujh mein wasf na khubi na kuchh hunar phir bhi tamam shahr mera ham-nawa sa lagta hai ye aaj shahr mein kya baat ho gai 'kausar' jise bhi dekhiye sahma hua sa lagta hai