ai makan yaad hai kuchh tere makin kaise hain tujh mein baste the kabhi aur kahin kaise hain baam par chalti hawa chand sitare baadal dhundte phirte hain wo sare hasin kaise hain in darichon mein jo chilman se lage rahte the jalwa-ara hain kahan parda-nashin kaise hain jin ki zulfon mein sar-e-sham mahak rahti thi dilruba sarw-qad-o-khanda-jabin kaise hain phul girne ka samaat ko guman hota tha khush-gulu aur khush-andam nagin kaise hain raat ke pichhle kinaron pe darakhton ke tale sher kahte the sunate the wahin kaise hain ab to akhbar mein chhapte hain marasim un ke hum se milte the kabhi qabl azin kaise hain