na jaane kaun hai kya hai kahan se aaya hai wo mera ain hai ya khwab hai ya dhoka hai na dekh waqt yun mujh ko ye tera chehra hai jo shakhs mujh mein chhupa hai wo kitna sada hai hawa ke ghunghru hain sakit thaki thaki hai sham udasiyon ka har ek samt jal phaila hai faza mein udte parindon ne par samet liye nuzul-e-sham hai aur rasta akela hai tamam khel hua din dhala chalo ab ghar na jaane mujh mein utarta ye dard kaisa hai siyah raat ka panchhi hai pankh phailae magar dilon mein bahut dur tak ujala hai use bhi sath na mauj-e-bala to le jaana yahin pe mere sakun ka jazira duba hai guzishta zakhmon ke tanke masakte jate hain kisi ne dur bahut dur se pukara hai 'shamim' biti ruton ki hai chandni phaili fasil-e-shab se khayalon ka chand ubhra hai