na jaane kaun sa manzar sadaen deta hai main pili dhup wo nili hawaen deta hai kisi ke chehre pe gard-e-malal dekhti hun khuda kabhi na kabhi to sazaen deta hai khayal-e-yar ne aankhen hamari nam rakkhin jamal-e-yar palat ke jafaen deta hai tere mazar se wire! mahak si aati hai tu mujh se dur bhi rah kar duaen deta hai ghubar-e-gham hai shab-e-hijr aur main kamli firaq-e-yar bhi kya kya adaen deta hai safar ki dhul thakan aable shikasta badan ye sher yun nahin hota balaen deta hai tu jis maqam pe baithi hai rabiya 'basri' faqat ye nam hi tujh ko ziyaen deta hai