siyah shaal pe jo ashk kadhta hoga kise khabar thi use mujh se masala hoga jo mere hote bichhadne ki baat karta tha meri judai mein ek bar ro diya hoga zamin pe phaile ye kaghaz gawahi dete hain wo kuchh na kuchh to mere nam likh raha hoga faza udas hai mahtab hai malul ki ab wo zard chehre ko hathon mein bhar raha hoga main is liye bhi bahut mutmain thi duri se wo dur hoga magar mujh ko dekhta hoga mujhe bhi dusre kandhe ne kuchh sahaara diya kahin se mauqa use bhi to mil gaya hoga