na jaane kitne fishaar jhele wafa mein parwaz-e-jaan se pahle

na jaane kitne fishaar jhele wafa mein parwaz-e-jaan se pahle
khuda ka qail tha main na hamdam azab-e-ishq-e-butan se pahle

sabab yahi tha ki chaar tinke meri umidon ka gulsitan the
hui thi barq-o-sharar ki yurish chaman mein kab aashiyan se pahle

na socha samjha na dekha bhaala hai kaun mushtaq kaun pyasa
unhon ne taqsim ki hai mai ki jahan se chaha wahan se pahle

ye hum ne socha tha haal apna kabhi na un se bayan karenge
magar pahunchte hi chashm-e-tar ne suna diya sab zaban se pahle

udas kaliyan fasurda ghunche shikasta shakhen khamosh bulbul
kahan thi gulshan mein dilkashi ye warud-e-fasl-e-khizan se pahle

sitam-kashon se kisi ne puchha sabab jo taraji-e-chaman ka
uda ke khak aashiyan ke bole utha tha shoala yahan se pahle

ye shauq-e-manzil ka tha karishma usi ne tab-o-tawan ata ki
kahan to the karwan ke pichhe pahunch gae karwan se pahle

kahan ki manzil kahan ka jada ye sab fareb-e-nazar tha 'natiq'
khulin jo aankhen usi jagah the qadam utha tha jahan se pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close