unhen haqiqat-e-ah-o-fughan nahin malum kahan hai aag kidhar hai dhuan nahin malum kisi ki yaad jab aati hai dub jata hai kuchh aur haal-e-dil-e-na-tawan nahin malum badal ke khush hain wo andaz-e-jaur ko apne badal chuka hun main tarz-e-fughan nahin malum gham-e-chaman ke sile mein mila qafas hamdam abhi maal-e-gham-e-ashiyan nahin malum nazar-farebi-e-husn-e-butan ka qail hun fareb-kari-e-ahl-e-jahan nahin malum abhi hai sahn-e-chaman mein abhi nasheman par giregi aaj ye bijli kahan nahin malum zaban pe ghuncha-o-gul ki ubur hai lekin mujhe khud apne hi dil ki zaban nahin malum nafas ki aamad-o-shud ki hai be-nishan manzil kahan pe ja ke ruke karwan nahin malum hazaron dar pe jhukaya hai sar magar 'natiq' jabin ke sath jhuka dil kahan nahin malum