na jab koi sharik-e-zat hoga mera ham-zad mere sath hoga gharon ke band darwazon mein raushan wahi ek zakhm-e-ehsasat hoga na yun dahliz tak aao ki bahar gali mein fitna-e-zarraat hoga kurede jao yun hi rakh dil ki kahin to shoala-e-jazbaat hoga dariche yun to khul sakte nahin the hawaon mein kisi ka hat hoga kitabon mein milenge sher mere mera gham raunaq-e-safhat hoga yahi din mein dhalegi raat 'akhtar' yahi din ka ujala raat hoga