na junun jaega kabhi mera yar hai ghairat-e-pari mera dil na le ai sanam bara-e-khuda kuchh bahalta hai is se ji mera us ka hairan hun jo kahta hai dekh le munh na aarsi mera ab nahin dil ko tab furqat ki dam nikalta hai ai pari mera lazzat-e-qatl kya kahun qatil chatti hai lahu chhuri mera jaan-e-jaan zikr kar na jaane ka dam nikal jaega abhi mera ghuncha-e-gul to hans ke kahta hai munh chidhane lagi kali mera ab ki furqat mein gar raha jita dekhiyega na munh kabhi mera be-nishan hon misal anqa ki nam ai 'arsh' to sahi mera