na kaam aai mere kuchh meri sharafat bhi mere khilaf hui us ke sath khilqat bhi wo shakhs yun tha ki jaise dhula-dhulaya hua thi khatm us pe har ek tarah ki nafasat bhi wo jama-zeb tha itna ki takte hi rahiye ye dil to chahta tha mustaqil rafaqat bhi bila-sabab na tha us mein wafur-e-khud-bini ghurur-e-husn ke ham-rah thi nazakat bhi tha us ka chehra-e-zeba ki mah-para koi sukun-bakhsh thi us ki mujhe tamazat bhi barat na sakta tha khul kar wo iltifat magar thi us ki chashm-e-fusun-saz mein murawwat bhi main us ke samne gum-sum raha sukhan-basta na kar saka kabhi arz-e-hunar ki jurat bhi main kar-gah-e-jahan mein azal se hun tanha na ras aai mujhe mahwashon ki qurbat bhi hujum-e-shauq mein yun bhi hua ki main 'nasir' hawas gum kiye bhule raha zehanat bhi