na kami koi tere naz mein na kami hai zauq-e-niyaz mein to wafaen meri hi pesh kar mere khun-e-dil ke jawaz mein meri khak mein teri sans hai teri raushni mere pas hai mujhe dil diya sanam-ashna mera sar jhuka hai namaz mein kabhi khat ko tere chhupa liya kabhi ashk aae to pi liye meri zindagi to guzar gai isi parda-dari-e-raaz mein kisi ghaznawi ke nasib mein kahan wo uruj-e-niyaz tha kai ghaznawi the jude hue isi ek libas-e-ayaz mein hain tere siwa bhi bahut hasin mujhe to nazar se gira nahin usi aasman ke sae mein usi khak-dan-e-majaz mein na yun fakhr kar na yun sar utha ki ye sach hai 'khalid'-e-be-nawa tu ye soch le tu ye jaan le ki nasheb bhi hain faraaz mein