daur-e-tufan mein bhi ji lete hain jine wale dur sahil se kisi mauj-e-gurezan ki tarah dil ki wadi mein tera dard barasta hi raha abr-e-naisan ki tarah abr-e-bahaaran ki tarah fasle waqt mein tabdil hue jate hain zindagi raqs mein hai gardish-e-dauran ki tarah dil ki taskin ko mange ka ujala kahiye raat ek shokh ki yaad aai thi mehman ki tarah aarzu aur zamane ki kashakash se gurez zindagi aur charagh-e-tah-e-daman ki tarah gar na ho khatir nazuk pe garan to kah dun baat bhi dil mein utar jati hai paikan ki tarah ek taswir bani sarhad-e-izhaar se dur nutq hairan hai mere dida-e-hairan ki tarah chand nikhra hai teri lauh-e-jabin ki surat raat bikhri hai teri zulf-e-pareshan ki tarah kis ne hans hans ke piya zahr-e-malamat paiham kaun ruswa sar-e-bazar hai 'taban' ki tarah