na kar kisi ki mohabbat ka eatibar na kar tamam umr tamanna ko sogwar na kar khulus-e-dil hai badi chiz zindagi ke liye zara se gham mein gareban ko tar tar na kar jabin-e-shauq ko pamal kar na yas ke nam yun zulm apni jawani pe be-shumar na kar unhen to sham dhale nind aa gai hogi sahar ke waqt sitaron ka intizar na kar kaha tha us ne tumhein pyar hum bhi karte hain to us ki baaton ka aise to eatibar na kar ye jaan kar bhi ki london pe 'raj hai us ka tu meri man le us par yun ikhtiyar na kar