naqsh-e-qadam ke sath wo raste miTa ke rah gain

naqsh-e-qadam ke sath wo raste mita ke rah gain
andhe safar ko aandhiyan kitna badha ke rah gain

sab ke wajud ke liye kun ki sada ke aate hi
arz-o-sama ki wusaten us mein sama ke rah gain

hathon se kanpte rahe sukhe hue sana ke phul
pesh-e-asar duaen bhi aankhen jhuka ke rah gain

ek baras to bhig le sahn bhi chhat ke sath sath
aisi hi ek do khwahishen dil ko dukha ke rah gain

pursish-e-haal par tere lab to khamosh hi rahe
aankhon ko jaane kya hua aansu gira ke rah gain

kitni duaen mangi thin hum ne sahar ke waste
us ki shuaen kya karen aankhen bujha ke rah gain

dekh ke be-samar shajar bagh mein 'raj is baras
dil ko kai kahaniyan yaad si aa ke rah gain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close