na KHanqahon ke sae na taj-o-taKHt mujhe

na khanqahon ke sae na taj-o-takht mujhe
ata hua hai faqat dhup ka darakht mujhe

wo sang-dil pa mulaem sa hai dam-e-guftar
main narm-dil hun pa lahja mila karakht mujhe

tamam umr ki mehnat pe pher de pani
dikhae aankh jab apne jigar ka lakht mujhe

mere nasib ki tarikiyon se kam waqif
samajh rahi hai ye duniya sitara-bakht mujhe

qadam qadam pe hai yaron ko sim-o-zar ki talash
dua buzurgon ki apne safar ka rakht mujhe

hari-bhari hai bahut fasl-e-fikr-o-fan meri
ye aur baat zaminen mili hain sakht mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close