na KHarab hota main dhup mein na andheri raat mein ghumta

na kharab hota main dhup mein na andheri raat mein ghumta
tu jo sath hota to aur hi kisi kaenat mein ghumta

tere zard khitte mein khak udane se waqt milta agar kabhi
to main zindagi tere sabz-posh ilaqa-jat mein ghumta

ye hijab hatta nigah se ye ghubar chhatta jo rah se
main teri nishaniyan dekhta main ajaibaat mein ghumta

kahin rang dekhta nau-ba-nau kahin jazb karta mahak teri
kabhi sair karta sifat mein kabhi teri zat mein ghumta

yahi fitrat apni jamaliyat ke raaz aankh pe kholti
agar aadmi kabhi manzaron ke taghayyuraat mein ghumta

wo to yun hua ki khumar-e-rang chhalak pada meri aankh se
mera sar wagarna jo ghumta to chaman bhi sath mein ghumta

kahin aks chumta chand ka kahin jhumta kisi lahr par
main ubharte dubte kaenati tanazuraat mein ghumta

kabhi ja nikalta main dhup mein kabhi chandni ke sarup mein
tere gird ghumti raushni ke talazumat mein ghumta

main isi liye to bacha hua tha ghubar-e-gardish-e-waqt se
wo jahan ghumata main bas wahin ki jamaliyat mein ghumta

na yahan tulu-o-ghurub hai na koi shumal-o-junub hai
ye main kis taraf nikal aaya hun tere shash-jahat mein ghumta

mera dil to shams-e-abad ke gird tawaf karti zamin hai
ye koi globe to hai nahin jo tumhaare hath mein ghumta

kai 'shahid' aur bhi mintaqe hain makan zaman se jude hue
mujhe rah milti to main wahan ke tahayyuraat mein ghumta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close